Tum naghma-e-maah-o-anjuman ho , tum soz-e-tamana kiya jaano 
Tum dard-e-mohabbat kiya samjho , tum dil ka tarapna kiya jaano 
KAb dard barha , kab hook uthi , kiyon ashk baha , kiyon aah khichi 
Tum gum ho bahaaron main apni , tum gham ka fasaana kiya jaano 
Ik moj-e-tabasam honton par , ik naghma rangeen aankhon main 
Tum raqs-e-suriyaa kiya jaano , tum barbat-e-zohra kiya jaano 
Tum rooth gaye jab jab hum se , hum tum ko manaa hi letay thay 
Ik baar agar hum rooth gaye , tum hum ko manaana kiya jaano 
Takhreeb-e-mohabbat asaan hai , tameer-e-mohabbat mushkil hai 
Tum aag lagaana seekh gaye , tum aag bhujaana kiya jaano 
Tum door kharay dekha hi kiyea aur doobnay wala doob gaya 
Saahil hi ko tum manzil samjhay , tum lazat-e-dariya kiya jaano 
Iqbaal ka gham tum kiyon samjho , aur us ka dilaasa kiya jaano  
Tum husan-e-sraapa apni jaga aur husan-e-sraapa khud daari  
 
No comments:
Post a Comment