Nov 29, 2014

Tum aao to hum bhi eid karain



Tum aao to hum bhi eid karain 
Hasrat hai tumhari deed karain 

Kuch dair to dil ko chain milay 
Kuch roz to mann kay phool khilain 

Kehtay hain keh eid ki aamad hai 
Hum log bhi kuch taa'eed kartay hain 

Tum se ik yeh guzarish hai 
Yeh apnay dil ki khwaish hai 

Ik baar milo 
Ik baar milo 
Her baar yahi takeed karain 

Maana keh hum dewaanay hain 
Sab baaton se anjaanay hain 

Jab apnay bhi be'gaanay hain 
Kiya ghairon se umeed karain 

Tum aao to hum bhi eid karain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...