Yahi aarzoo rahi umar bhar keh mohabbatain meray saath hon
Kabhi aisa ishq nahin kiya keh nadamatain meray saath hon
Koi aisa harf nahin likha keh ho sharm saar qalam mera
Koi aisa jurm nahin kiya keh wazahatain meray saath hon
Faqat ik shakhs ki aarzoo main guzar rahi hai yeh zindagi
Yeh talab nahin keh tamaam shaher ki chahtain meray saath hon
Jo main jaagta hon to is liye keh kisi ko neend to aa sakay
Meri subha us pe nisaar ho meri zulmatain meray saath hon
Main kisi adalat-e-ishq main , Ae meray khuda rahoon sur'khuru
Kaf-e-dast pe mera dil arhay , meri tohmatain meray saath hon
Yeh nahin keh raah main jo milay ussay hamsafar hi bana loon
Jo tamaam umar nibha sakain woh rafaqatain meray saath hon
Mujhay rasmi sa mail jol pasand hi nahin jan-e-man
Main yeh chahta hoon keh jo tu milay meri wehshatain meray saath hon
No comments:
Post a Comment