Nov 17, 2014

Youn ada hoti hai arbaab-e-mohabbat ki nimaz


Aik sajda sar faroshaana basad ajz-o-niyaaz
Youn ada hoti hai arbaab-e-mohabbat ki nimaz

Arzoo , ilzaam , shikwa , jurm , mayoosi , ginnah 
Ho saza maqsood to shar bahaanay so jawaaz 

Ba'wajood-e-zabat-e-gham , ba'wasaf-e-tark-e-guftagoo 
Khul hi jaatay hain nigaahon se dilon kay chand raaz

Kon sunta hai kisi ki is khraaba baad main 
Muktasir lamhaat-e-fursat aur afsaanay da'raaz

Ehal-e-mehfil yeh bhula detay hain fart-e-shouq main 
Gul bhi ho sakti hain shamain , toot bhi saktay hain saaz

Ishq main pindaar-e-sultaani bhi khaa jaata hai maat 
Aik mard-e-butt shikan aur banda zulf-e-ayaaz

Mil gaye aankhon hi aankhon main , sawalon kay jawaab 
Youn bhari mehfil main bhi jaari rahay raaz-o-niyaaz


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...