Dec 16, 2014

Ab to yeh kehtay hain tanhai se haaray huye hum


Ab to yeh kehtay hain tanhai se haaray huye hum

Gham hi ho jayein hamaray , keh tumharay huye hum

Ism-e-aazam sa koi apni zubaan par aaya

Aap ka naam liya charkh kay taaray huye hum

Sirf hamraah-e-haqeeqat to khathan tha hona

Safha-e-dehar pe khawaabon kay sahaaray huye hum

Ishq main ik zara maat hui hai ham ko

Aisay baithay hain keh jaan bhi haaray huye hum

Woh to khatray kay hawadis hi nikal jaatay hain

Warna her aan aadam ko hain sudhaaray huye hum

Jaan detay hain kahin hijar kay maaray huye log

Shair likhtay hain yahaan paaon pisaaray huye hum

Aakhri dour-e-zamana hai aur ab aye hain

Waqat-e-kohna  ki sadaaon kay pukaaray huye hum

Koi dushwaar zubaan hain , koi dushwaar sukhan

Khaam , be'fikar dimaaghon pe utaaray huye hum

Umar faysal ki nahin sirf shumaar-e-shab-o-roz

Ek jeevan hain mohabbat main guzaaray huye hum

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...