Ajnabi khouf fizaon main basa ho jaisay
Shaher ka shaher hi asaib zada ho jaisay
Raat kay pichlay pehar aati hain awazain si
Door sehraa main koi cheekh raha ho jaisay
Dar-o-dewaar pe chayi hai udaasi aisi
Aaj her ghar se janaaza sa utha ho jaisay
Muskuraata hoon Pa-e-khatar-e-ehbaab magar
Dukh to chehray ki lakeeron pe saja ho jaisay
Ab agar doob bhi gaya to maron ga na "Kamal"
Behtay paani pe mera naam likha ho jaisay

No comments:
Post a Comment