Apnay ghar ki khirki se main aasmaan ko dekhon ga
Jis par tera naam likha hai , us taaray ko dhoondon ga
Tum bhi her shab diya jala kar palkon ki dehleez pe rakhna
MAin bhi roz ik khwaab tumharay shahaer ki jaanib bhaigon ga
Hijar kay dariya main parhna lehron ki tehreerain bhi
Pani ki her satar pe main kuch dil ki baatain likhon ga
Jis tarah se pairr kay neechay hum baarish main bheegtay thay
Tum bhi us ko choo kay guzarna , main bhi uss se lipton ga
Khwaab musafir lamhon kay hain , saath kahan tak jayein
Tum ne bilkul theek kaha hai , main bhi ab kuch sochon ga

No comments:
Post a Comment