Kuch to ae yaar ilaaj-e-gham-e-tanhai ho
Baat itni bhi na barh jaye keh ruswai ho
Doobnay walay to aankhon se bhi kab niklay hain
Doobnay kay liye laazim nahin gehrai ho
Jis ne bhi mujh ko tamasha sa bana rakha hai
Ab zaroori hai wohi shakhs tama'sha'i ho
Main tujhay jeet bhi tohfay main nahin de sakta
Chahata yeh bhi nahin hoon teri paspaai ho
Aaj to bazam main her aankh thi purnam jaisay
Dastaan meri kisi ne yahan doh'raai ho
Koi anjaan na ho shaher-e-mohabbat ka makeen
Kaash her dil ki her ik dil se shna'saai ho
Youn guzar jaata hai Imran teray koochay se
Tera waqif na ho jaisay koi sodaai ho
No comments:
Post a Comment