Ruksaar pe pehli qos-e-qazah ka nizaara kartay
Banaa kar naya asmaan tujh ko sitaara kartay
Husan-e-mehtaab par to likh rakhi hain kitaabain bhout
Sab adab sab dewaan dharay reh jaatay gar tera nizaara kartay
Yeh loh-e-dil pe likhi taqdeer badal jaati
Gar ashk teray koi ishaara kartay
Ishq main teray junoon is qadar ghalib raha
Phir ehal-e-duniya se kiyon na kinaara kartay
Doob jaatay toofan-e-sagar main muskuraatay huye
Ae saahil pe kharay naazir tujh ko na koi ishaara kartay
Hamain to dukh bhi itnay aziz rahay ta'umar
Kisi zulf-e-mah'jabeen ki tarha inhain sanwara kartay
Shab-e-tanhai main diya bujh jaata hai jab jaana
Be'qaraar ho kar be'khudi main tujh ko hi pukaara kartay
No comments:
Post a Comment