Dec 22, 2014

Bas aik shaam dy mujhay pyaar main dhalti hui


Bas aik shaam dy mujhay pyaar main dhalti hui
Phir shaam us ko main kahoon ya keh kahoon main zindagi

Pyaar ho chalka hua teri nigaah kay jaam se
Surmai sa phailta ho rang uffaq par shaam se
Baazo'on ki qaid main ho ik badan simta hua

Khamoshi main goonjti ho do dilon ki ik sadaa
Ho ulajhti saans main jaisay sharaarat saans ki
Rooh ko choonay lagay jaisay haraarat saans ki

Haath main ho chooriyon ki dheemi dheemi si khanak
Madham madham si roshni main narm aanchal ki dhanak
Hont teray gulaabi chal'lakti meh ki tarah

Surmaei si phail jaye shaam kajal ki tarah
Kaash so jaao kabhi tum rakh kay sar aaghosh main
Doob kay aankhon main teri hum rahain na hosh main

Youn milain tum se keh phir na hoon juda tum se kabhi
Phir chalay jaanay ki janaa baat na aaye kabhi
Bas aik shaam dy do phir raat na aaye kabhi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...