Dec 11, 2014

Batao dil ki baazi main , bhala kiya baat gehri thi


Batao dil ki baazi main , bhala kiya baat gehri thi

Kaha youn to sabhi kuch theek tha par maat gehri thi

Suno baarish , Kabhi khud se bhi bhar kar koi dekhta hai

Jawaab aya , un aankhon ki magar barsaat gehri thi

Suno tum ne huolay se kaha tha kiya , bataao gay

Jawaab aya , kaha to tha magar woh raat gehri thi

Diya dil ka samnadar un ne , tum ne kya kiya us ka ?

Hamain bas doob jaana tha keh woh soghaat gehri thi

Wafa ka dasht kaisa tha bataao tum pe kiya beeti

Bhatak jaana hi tha hum ko wahaan par rait gehri thi

Tum us kay zikar par kiyon doob jaatay ho khayaalon main

Rafaqat aur adawat apni us kay saath gehri thi

Nazar aya tumhain us ajnabi main kiya , bataao gay ?

Suno , qaatil nigahon ki woh zalim ghaat gehri thi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...