Bhout hi muddat ke baad kal
Jab kitab-e-mazi ko main ne khola
Bhout se chehray nazar main utray
Bhout se naamo pe dil tarpa
Aik aisa safha bhe is main aya
likha hau tha jo Ansoon se
Keh jis ka unwaan Hamsafar tha
Yeh safha sab se he mohtabar tha
Kuch aur Aansoo Phir us pe tapkay
phir us se Aagay main parh na paya
Kitaab-e-mazi ko band kar ke
|Usi ki yadoon main kho gaya main
Agar woh milta to kaisa hota
Aur phir inhi khyalon main so gaya
No comments:
Post a Comment