Dec 21, 2014

Chaand taaron main nazar aaye chehra tera


Dil kay aainay main tujh ko saja liya 
JAb se main ne tujh ko apna bana liya 

Chaand taaron main nazar aaye chehra tera 
Jab se meray dil pe hua hai sanam pehra tera 

Ek ddojay kay dil main apna ghar banaa'na hai 
Teri khaatar sabhi hadon se guzar jaana hai 

Tujh se lipta rahoon ga ban kar kangna tera 
 Chaand taaron main nazar aaye chehra tera 

Pyaar main hum sanam yeh saara jag bhula dain gay 
Mar kay waday chahaton kay hum nibha dain gay 

Jaan se bhi mujhay hai pyaara sajan mera 
Chaand taaron main nazar aaye chehra tera

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...