Dec 20, 2014

Chalo ik nazam likhtay hain kisi kay naam kartay hain


Chalo ik nazam likhtay hain 
Kisi kay naam kartay hain 

MAgar yeh sochna hai ab 
Keh us main zikar kis ka ho 
Keh us main baat kis ki ho 
Keh us main zaat kis ki ho 

Aur yeh bhi farz kartay hain 
Keh jis pe nazam likhtay hain 
Hamain us se mohabbat hai 
Hamaray saaray jazbon ko 
Bus us ki hi zaroorat hai 

Chalo ik kaam kartay hain 
Keh hum jo nazam likhtay hain 
Tumharay naam kartay hain 
Tum hi unwaan ho is ka 
Tumhara zikar hai is main 
Tumhari baat hai is main 
Tumhari zaat hai is main 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...