Dec 14, 2014

Ek husan ki devi se mujhay pyaar hau tha


Ek husan ki devi se mujhay pyaar hau tha , hay pyaar hua tha 
Dil us ki mohabbat main griftaar hau tha 
Ek husan ki devi se mujhay pyaar hau tha , hay pyaar hua tha 
Woh roop kay jis roop se kaliyaan bhi lajain 
Woh zulf keh jis zulf se sharmaein ghataein 
Meh'khaanay nigahon pe , adaon kay traanay 
Dy daal mujhay husan-o-mohabbat kay khazanay 
Haan aisi hi ek raat thi 
Aisa hi sama tha
Yeh chaand bhi poora tha 
Zamana bhi jawan tha 
Ek pairr kay saaye main jab iqraar hua tha 

Ek husan ki devi se mujhay pyaar hau tha , hay pyaar hua tha 

Kashmir ki wadi kay woh pur'kaif nazaray
Lamhaat mohabbat kay jahan hum ne guzaray 
Angraeiyaan lay kar meri baanhon kay saharay 
Gul'naar nazar aati thi woh sharm kay maaray
YAk'tarfa na thay husan-o-mohabbat kay isharay
Us ne bhi kai baar meray baal sanwaray 
Ehsaas ka jazbaat ka izhaar hua tha 

Ek husan ki devi se mujhay pyaar hau tha , hay pyaar hua tha 

Kuch roz katay youn hi bura waqat jab aya 
Us husan ki devi ne bhi nazron se giraya 
Qurbat ne zamanay ki nigahon se giraya 
Aanchal meray haathon se mohabbat ne churaya 
Ek raat ko us ne mujhay sota hua chora 
Jaldi woh kahin pyaar ko rota hua chora 
Soya hua main neend se jaga jo saweray 
Woh jab na mili , chaa gaye aankhon main andheray 
Taqdeer kisi ko bhi buray din an dikahaye
Hotay hain buray waqat main apnay bhi paraye
Kiya pyaar ki doulat ka talabgaar hua tha 

Ek husan ki devi se mujhay pyaar hau tha , hay pyaar hua tha 
Dil us ki mohabbat main griftaar hau tha 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...