Dec 17, 2014

Fana kay saaray dars us ko yaad rehtay thay


Ajeeb shakhs tha woh 

Fana kay saaray dars us ko yaad rehtay thay
Usi kay dam se yeh maqtal abaad rehtay thay 
Jo bad'naseeb thay woh ba'muraad rehtay thay 
Woh apnay hon ya paraye hon shaad rehtay thay 

Ajeeb shakhs tha woh 

Saraab rut main , woh qaafilay ka raahbar bhi 
Woh meri ho ya teri , zindagi ka mehwar bhi 
Shab ka chaand bhi woh aur subha ka suraj bhi 
Junoon ki daastaan ka awal bhi aur aakhir bhi 

Ajeeb shakhs tha woh 

Woh raig'zaaron main bhi mohabbatain lutaa'ta raha 
Naabeena shaher main beenaiyaan ganwaata raha 
Shaher bhar main diye khoon se jalaata raha 
Haye  afsoos magar woh bhi jaan se jaata raha 

Haye woh shakhs jaan se jaata raha 

Woh mar kay bhi jo hai zinda ajeeb baat nahin 
Goya yeh bhi teh hai kisi shay ko bhi sabaat nahin 
Woh jis ko aata ho yeh fun keh woh dilon main rahay 
Jo khud ho tanha magar saari mehfilon main rahay 
Woh aik shakhs jissay mohsin kaha hai duniya ne 
Yeh sach hai bas wohi mohsin tha saari duniya ka 

Ajeeb shakhs tha woh 
Main kiya kahoon ajeeb shaks tha woh 
Mujhay to lagta hai Shayed koi mohsin-e-waqat tha woh

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...