Ab to yeh kehtay hain tanhai se haaray huye ham
Gham hi ho jayein hamaray , keh tumharay huye ham
Ism-e-aazam sa koi apni zubaan par aaya
Aap ka naam liya charkh kay taaray huye ham
Sirf hamraah-e-haqeeqat to khathan tha hona
Safha-e-dehar pe khawaabon kay sahaaray huye hum
Ishq main ik zara maat hui hai ham ko
Aisay baithay hain keh jaan bhi haaray huye ham
Woh to khatray kay hawadis hi nikal jaatay hain
Warna her aan aadam ko hain sudhaaray huye ham
Jaan detay hain kahin hijar kay maaray huye log
Shair likhtay hain yahaan paaon pisaaray huye ham
Aakhri dour-e-zamana hai aur ab aye hain
Waqat-e-kohna ki sadaaon kay pukaaray huye ham
Koi dushwaar zubaan hain , koi dushwaar sukhan
Khaam , be'fikar dimaaghon pe utaaray huye ham
Umar faysal ki nahin sirf shumaar-e-shab-o-roz
Ek jeevan hain mohabbat main guzaaray huye ham
No comments:
Post a Comment