Dec 14, 2014

Goya keh wusat-e-asmaan main sitaaron ko sajaye rakha hai


Hum ne youn raat kay pehlu main yaadon ko sajaye rakha hai
Goya keh wusat-e-asmaan main sitaaron ko sajaye rakha hai 

Woh hum se poochtay hain hamari mohabbat ka paymana
Hum ne to lamhon main sadiyon ko sajaye rakha hai 

Zindagi se kiya gila kiya shikayat kartay jaanan
Bas lab si kar hum ne zakhmon ko chupaye rakha hai 

Faqat tujh se hi nahin apnay her dard se mohabbat ki hai 
Yeh taqaza-e-ishq hai keh dard kay sab hawalon ko sajaye rakha hai 

Log kaisay jee letay hain be'wafa ho kar Qais 
Hum ne to dil kay surkh lahoo hoti zameen ko wafaon se sajaye rakha hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...