Dec 18, 2014

Hisaab-e-tark-e-taaluq tamaam main ne kiya


Hisaab-e-tark-e-taaluq tamaam main ne kiya

Shuru us ne kiya ikhtataam main ne kiya

Mujhay bhi tar-e-mohabbat yeh hairatain bhi rahin

Jo kaam mera nahin tha woh kaam main ne kiya

Woh chahta tha keh dekhaye mujhay bikhartay huye

So is ka jashan basad ehtamaam main ne kiya

Bhout dino main meray ghar ki khamoshi tooti

Khud apnay aap se ek din kalaam main ne kiya

Us aik hijar ne milwa diya wasal se bhi

Keh tu gaya to mohabbat ko aam main ne kiya

Woh aftaab jo dil main dharak raha tha faysal

Ussay supurd-e-shafaq aaj shaam main ne kiya

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...