Dec 11, 2014

Hum kon hain , kiya hain , ba'Khuda yaad nahin


Hum kon hain , kiya hain , ba'Khuda yaad nahin

Apnay aslaaf ki koi bhi adaa yaad nahin

Hain agar yaad to kaafir kay traanay hi bas

Hai nahin yaad to masjid ki sada yaad nahin

Bint-e-hawa ko nachaatay hain sar-e-mehfil hum

Kitnay sang dil hain keh rasm-e-haya yaad nahin

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...