Dec 14, 2014

Jab raat kay daaman main siskiyaan tarapti hain


Jab raat kay daaman main siskiyaan tarapti hain
Tab hina'ei haathon main chooriyaan bikharti hain

Shajar gulaabon kay chamman main tarsaan hain
Haathon ka soona'pan dekh kar kalaiyaan tarasti hain

Daaman main hain us kay wafa kay motti bikhray se
Qismat ki lakeeron main sadayein sisakati hain

Shaam kay saayon main khud ka saaya bhi tanha sa lagta hai
Logon kay melay main aankhain  barasti hain  

Be'naam se khatt chand sookhay gulaab aur tasveer-e-jaanan
Dil ki tapish main adhoori mohabbat ki chand nishaa'niyaan jalti hain

Zakham-e-ulfat kay sab nishaan tamghay hain
Raah-e-wafa main mil jayein to ehal-e-dard ki chahatain da'makti hain

Sar se paaon tak woh noor ka haala hai Qais
Choona chahon bhi to hatheliyaan jalti hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...