Kabhi aansoo kabhi khushboo , kabhi naghma ban kar
Hum se her shaam mili hai tera chehra ban kar
Chaand nikla hai teri aankh kay aansoo ki tarah
Phool mehkay hain teri zulf ka saya ban kar
Meri jaagi hui raaton ko usi ki hai talaash
So raha hai meri aankhon main jo sapna ban kar
Dil kay kaaghaz par utarta hai jo shairon ki tarah
Meray honton pe machalta hai jo naghma ban kar
Raat bhi aaye to bujhti nahin chehray ki chamak
Rooh main phail gaya hai woh ujala ban kar
Mera kiya haal hai yeh aa kay kabhi dekh to lay
Jee raha hoon tera bhoola hua wada ban kar
Dhoop main kho gaya woh haath chura kar
Ghar se jo saath chala tha mera saya ban kar
No comments:
Post a Comment