Dec 15, 2014

Kahan barhti hai jazbon main pari daraar bataye koi


Kahan milta hai dil-e-na'shaad ko qaraar bataye koi
Kahan barhti hai jazbon main pari daraar bataye koi

Nimaaz-e-ishq adaa kartay rahay aanchal pe jin kay sadaa
Kab ho ga qabooliyat-e-sajda keh unhain iqraar bataye koi

Chalo tasleem hain hamain sab khataein saz sazain 
Kon hai khata'kaar kon saza'waar kab tak rahay yeh israar bataye koi

Woh jo parhta tha teri hamd ki tasbeeh 
Hua dargaah mandh kiyon tehra gunah'gaar bataye koi

Aik roz bhout sataye ga ussay ehssa-e-jurm Qais 
Zamanay bhar main jab na paye ga hum sa talab'gaar bataye koi
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...