Dec 12, 2014

Khizaan kay mousam main gulaab maang raha hai


Khizaan kay mousam main gulaab maang raha hai

Phir apnay liye koi azaab maang raha hai

Jaan maangta to main zara taughafal na karta

Magar woh mujh se meray khwaab maang raha hai

Ata kar kay meri zeest ko hijar ki azeeatain

Aur mujh se wisaal-e-rut kay hisaab maang raha hai

Khataein karna hi raha mashgala us ka

Main kiya doon sila ussay woh sawaab maangta raha  hai

Apni samjh main us ki guftagoo bhi nahin aati

Aur woh an'kahay sawalon kay jawaab maang raha hai

Mujh ko apnay wajood pe bhi das'taras nahin haasil

Aur dil-e-na'daan hai mehtaab maang raha hai

Koi zindagi se ghabra gaya is qadar

Kashti ka musaafir hai aur gardaab maang raha hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...