Ujri hui bastiyon ka gham kiya karna
Khoon hhoti daastaano ka gham kiya karna
Kabhi khiltay thay gulistaan main laala-o-gul
Ab khaak uraati hawaon ka gham kiay karna
Tum to khafa ho gaye anjaani si khata pe
Ab guzray huye lamhon ka gham kiay karna
Tumhari muskuraahat ka taalisam aaj bhi hai qayam
Apni pur'nam palkon ka gham kiay karna
Toofaan main ghir kar door se pukaara un ko
Na'meharbaan thi hawa un'suni hawaon ka gham kiay karna
Tum thay chaa'on ki maanind kari dhoop main
Baad firaaq ab jaltay paaon ka gham kiya karna
Dartay thay kahaan jayein gay us ke qadamon se uth kar
Ab shikayat kaisi ab sehraa'on ka gham kiya karna
No comments:
Post a Comment