Dec 26, 2014

Koi ehsaas bhi us ko yaad nahin


Koi ehsaas bhi us ko yaad nahin 
Koi baat bhi us ko yaad nahin 
Kisi ne us ko chaha tha 
Woh zaat bhi us ko yaad nahin 
Jab shab ki bijli chamki thi 
Aur badal toot kay barsa tha 
Hum dono jis main bheegay thay 
Woh barsaat bhi us ko yaad nahin 
Woh sahil , dariya , phool , hawa
Woh wada saath nibhaanay ka 
Aur shab bhar chaand ko dekha tha 
Woh raat bhi us ko yaad nahin 
Woh kehta tha main sunta tha 
MAin kehta tha woh sunta tha 
Un laakhon baaton main koi 
Ek baat bhi us ko yaad nahin 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...