Dec 15, 2014

Koi muskuraye to ashk aankh se utar aata hai


Yaad aata hai dard ka aik aik lamha 
Koi muskuraye to ashk aankh se utar aata hai 

Waqat-e-judai us ki aankh bhi pur'nam thi 
Saat pardon main jazbaat chupaana ussay aata hai

Khud pathar ki moorat banna betha raha sadaa
Mom ki maanind mujhay pighalna ussay aata hai

Pehlay tameer main raha woh meri lamha lamha 
Phir muskuraa kar mitaana bhi ussay aata hai 

Nigahon se kai baar sawaal karta par 
Khud se jawaab soch lena khoob ussay aata hai

Palkon pe betha kar poojtay rehna 
Nazron se giraana bhi ussay aata hai

Main samjha jeet gaya pyaar us ka 
Maat dena khoob ussay aata hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...