Dec 15, 2014

Lagta hai phir se koi saaneha honay ko hai


Lagta hai phir se koi saaneha honay ko hai
Kisi ghreeb ki beti raheeba honay ko hai

December ki bheegi raaton main aag bhi mushkil jalti hai
Kacchi chatt kay makeeno main koi haadsaa honay ko hai

Aaj phir shaher kay dastar'khwaan sajay sajaye rakahye hain
Paas hi ghreeb si basti main bhook se koi saaneha honay ko hai

Suan hai dariyon main tughiyaani ka aalam hai
Koi pyaasa lab-e-dariya mar jaye shayed yeh saaneha honay ko hai

Talaash-e-rizq main sar'gardaan hai mazdoor meray watan ka
Khaali haath lota to masoom hatheli pe ashkon ka koi saaneha honay ko hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...