Mujhay aisa dard aata kiya jo na hijar na visaal tha
Meray mousamon kay mizaaj daan tujhay kitna mera khayaal tha
Khoon-e-dil se likha to tha teray saal-e-hijar ka saneha
Jo bhout adhoora sa reh gaya woh na'jaanay kon sa saal tha
Kisi aur chehray ko dekh kar teri shakal zehan main aa gayi
Tera naam lay kay mila ussay meray hafzay ka yeh haal tha
Kabhi qurbaton kay dyaar main kabhi chahton kay ghubaar main
Wahaan umar main ne guzaar di jahaan saans lena mohaal tha
No comments:
Post a Comment