Dec 26, 2014

Meri saans tum se jurri hai kab aao gay


Meri saans tum se jurri hai kab aao gay 

Labon pe jaan hai aur kitna tarpaao gay 

Meray bin chain nahin milay ga tumhain 

Mujhay chor kar tum bhi pachtaao gay 

Guzra waqat nahin aata haath kisi kay 

Aakhir kab tak tum mujhay azmaao gay 

Do aansoo do phool meri qabar pe charha dena 

Shayed itna hi tum meray liye kar paao gay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...