Dec 26, 2014

Mohabbat hai mujhay tum se


Mohabbat hai mujhay tum se
Bas itna jaanta hoon main 
Yeh kiya hai , kiyon hai 
Kaisay hai ?
Bataon kis tarah tum ko 
Chalo socho
Agar main tum se yeh poochon 
Kissay kehtay hain be'chaini
Agar koi makeen dil ka 
Chala jaye kahin kuch din 
To neendain kiyon nahin aatein 
Kabhi jo baat na ho to 
Yeh saansain kiyon nahin aatein 
Koi jo dost pyaara ho 
Agar woh rooth jaye to 
Hansi phir kiyon nahin aati
Chalo itna bata do tum 
Nikaalain machli paani se 
To zinda kiyon nahin rehti

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...