Dec 15, 2014

Mohabbaton ka ab naam na lo dar lagta hai


Mohabbaton ka ab naam na lo dar lagta hai
Aalam-e-ishq ki shokiyon se dar lagta hai

Us ki zulf-e-meharbaan se juda jo huye
Din kay roshan ujaalon se dar lagta hai

Firaaq-e-sanam main ashkon se ishq kar baithay
Muskuraatay nainon se ab hamain dar lagta hai

Aankh se aankh mila kar kalaam kiya karo
Jhuki jhuki si palkon se jaanan dar lagta hai

Gham apnay tamaam somp do mujhay
Apni khushiyon se to hamain dar lagta hai

Kiya khouf tumhain meri veeraniyon ka
Mujhay to basti se teri dar lagta hai

Woh aatish-e-hijar ka shikwa kartay hain
Hamain to khayal-e-wasal se dar lagta hai  

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...