Dec 12, 2014

Mujhay laakh ho bhrosa meray dil ka kiya thikaana


Mujhay laakh ho bhrosa meray dil ka kiya thikaana
Kabhi be'niqaab ho kar meray saamnay na aana

Sar-e-bazam tum khudaara mujhay youn na azmaana
Meri simat is ada se kabhi ab na muskuraana

Gham-e-zindagi se mumkin na hua nibaah mera
YEh karam hai teray gham ka mujhay ajnabi na jaana

Teray raaz ka tahafuz meray bas main ab nahin hai
Keh nikhar kay ho gayi hai meri her nazar faana

YEh hansi , hansi nahin hai , yeh fraib hai hansi ka
Na issay samjh sakay tum , na samjh saka zamana

Koi taaza haadsa phir meri raah tak raha hai
Meri simat uth rahi hai woh nigaah-e-dilbraana

Teray gham ki yaad'gaarain meray shair , meri ghazlain
Teri ik nazar ka haasil meri zouq-e-shairaana

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...