Dec 26, 2014

Nazar main utar jaatay hain ghulab Aahista Aahista


Nazar main utar jaatay hain ghulab Aahista Aahista

Mohabbat ho rahi hai be'hijaab Aahista Aahista

Suna hai woh kitabon main hamara naam likhtay hain 

TAbhi to woh bhi parhtay hain kitaab Aahista Aahista

Nazron se jo kehtay ho kabhi to zubaan pe laao 

Yeh be'chainiyan barhti ja rahi hain Aahista Aahista

Dilon main dooriyan hon to mohabbat aur barhti hai

Samjh aaye ga un ko yeh hisaab Aahista Aahista

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...