Dec 20, 2014

Saa'khi Baithay rahay koi gada'gar hi nahin aaya


Sakhawat na namood afroz manzar hi nahin aaya 
Saa'khi Baithay rahay koi gada'gar hi nahin aaya 

Yeh socha tha teri khaatar koi motti nikaalon ga 
MAin jis raastay main tha us main samandar hi nahin aaya 

Pehan kar ayein gay , phirti dewaangi apni 
Tamana thi bhout jis ko woh pathar hi nahin aaya 

Baharain , bailain , jharray pattay lagay jalay dareechon par 
Makeen aisa gaya ghar se palat kar hi nahin aaya 

Chamak jis ki bulaa leti uqaabon ko nashaiman se 
Fizaon main koi aisa kabootar hi nahin aaya 

Dafeeno ki tarah dil main khazanay reh gaye saaray 
Samandar kiya karay koi shanawar hi nahin nahin aaya 

diya hi jab bahib ho ga hawa kis ko bujhaye gi 
Chraagh-e-raah main ab kay jala kay hi nahin aaya 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...