Dec 19, 2014

Sar-e-raah kuch bhi kaha nahin , kabhi us kay ghar main gaya nahin


Sar-e-raah kuch bhi kaha nahin , kabhi us kay ghar main gaya nahin 
Hum janam janam se ussi kay hain , ussay aaj tak yeh khabar nahin 

Ussay paak nazron se choomna bhi ibaadaton main shumaar hai 
Koi phool laakh qareeb ho , kabhi main ne us ko chuaa nahin 

Yeh khudai din bhi ajeeb hai , keh usi kay naam naseeb hai 
Jissay tum ne chaha woh mil gaya , jissay main ne chaha woh mila nahin 

Isi shaher main kai saal se , meray kuch qareebi aziz hain 
Unhain meri kuch bhi khabar nahin , mujhay un ka koi pata nahin

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...