Dec 20, 2014

Sar pe mohabbat ki rida taanta nahin


Main jal raha hoon dhoop main , woh maanta nahin 
Sar pe mohabbat ki rida taanta nahin 

Jissay ghar ki eent eent pe likha hai mera naam 
Iss ghar main ab koi mujhay pehchaanta nahin 

Kiya chahata hoon us se meri aarzoo hai kiya 
Sab kuch woh jaanta hai magar jaanta nahin 

Sulee pe taankta hai magar iss adaa kay saath 
Mujrim bhi pyaar ka mujhay gar'daanta nahin 

Hoti hai sab ko ishq main sood-o-ziyaan ki aas
Meri tarah to khaak koi chaanta nahin

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...