Kuch dair to tehro chaand nikalnay ko hai
Shab-e-aakhir ka yeh haseen pal guzarnay ko hai
Taaray bhi rat'jaga manaatay hain anjuman main meri
Kuch dair main yeh ronaq-e-mehfil bhi harjai honay ko hai
Raat ka aanchal oorhay koi khanak'ti hansi phir goonji hai
Lagta hai jisam-o-jaan ka rabt tootnay ko hai
Main nikal aya hoon bhout door youn hi be'sabab chaltay chaltay
Door nazar main kahin chragh-e-sehar bujhnay ko hai
Sabab mujhay maloom nahin dharkan-e-dil kay be'qaabu honay ka
Barson baad phir se wohi misal-e-baad-e-saba khawbon se guzarnay ko hai
No comments:
Post a Comment