Dec 19, 2014

Sulagtay labon pe giraa aur paani


Sulagtay labon pe giraa aur paani 
Bari tishnagi hai pilaa aur paani 

Sunaa jab wahan pyaas bujhti hai sab ki 
Samandar ki jaanib gaya aur paani 

Chalain gay to taaza rahain gay hamesha 
Hawa, khoon , samaa , raasta aur paani 

tahay khaak-e-sehraa mili aur kushki 
Samandar ki teh se mila aur paani 

Suna hai keh sehraaon main biktay hain aksar
Lahoo, jism , insaan . wafa aur paani 

Samandar nadi pee gaya aur bola 
Zara ur paani , zara aur paani 

Feroz us ne poocha keh kiyon aankh nam hai 
Meri aankh main bhar gaya aur paani

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...