Dec 3, 2014

Suno tum se zaroori baat karni hai


Suno tum se zaroori baat karni hai 

Samandar kay kinaaray par 

Chalay aao bahaanay se 

Mujhay tum par bharosa hai 

Mujhay tum se mohabbat hai 

Tumhain mujh se mohabbat hai 

Magar yeh bhi haqeeqat hai 

Hamaray darmiyaan jab bhi 

Milnay ki baat hoti hai 

Kabhi main taal deta hoon 

Kabhi tum rooth jaatay ho 

Hai aisa is liye shayed 

Tumhain main paa nahin sakta 

Mujhay tum kho nahin sakti 

Chalo phir aaj hum dono 

Samdar main utar jayein 

Mohabbat ki kahaani ko 

Ajal kay naam kay naam kar dain

1 comment:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...