Dec 11, 2014

Taweel hota gaya tha faasla main kiya karti?


Qadam qadam tha naya marhala main kiya karti?
Taweel hota gaya tha faasla main kiya karti?

Her aik shakhs ko tha zoham-e-rah'bari kitna 
Bhatak raha tha mera qaafla main kiya karti?

Gham-e-hayaat , gham-e-ishq , aur gham-e-jaana 
Ulajh gaya tha youn her aik silsala main kiya karti?

Tumharay saath kisi bhi faisalay ki fursat kab thi 
Tumharay baad bhala koi faisala main kiya karti?

Bhout sambhaal kay rakha tha dil main raaz tera 
Woh ban kay ashk jo girnay laga main kiya karti?

Mujh hi se maangnay aya woh lay kay majboori 
Ab us se usi ki jafa ka gila main kiya karti?

Woh aansoo'on ki zubaan khoob jaanta tha meri 
Mujhay bayaan ka na tha hosla main kiya karti?

 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...