Dec 26, 2014

Teray khayal ko dil se kabhi juda na karon


Teray khayal ko dil se  kabhi juda na karon

Teray baghair to main saans bhi liya na karon 

Jo tu mila to mujhay mashwara diya dil ne 

Keh ab Khuda se koi air Iltajaa na karoon 

Wafa ki raahon main rakh to diya hai main ne qadam

Ab apni jaan bhi jaye to main gila na karon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...