Dec 30, 2014

Teray sabhi ghamon ko samit loon main tujhay itna pyaar doon




Teray sabhi ghamon ko samit loon main tujhay itna pyaar doon 

Teri udasiyon ko mita kay teri her shaam nikhaar doon

Teri aankhon main chupi khizaan meray dil main utaar loon 

Teray wajood ko jo mehka day tujhay woh bahaar doon 

Teri ik muskurahat ka badal kuch ho nahin sakta magar 

Jo milay tujhay khushi to main apni jaan bhi waar doon 

Aa gaya hai hijar ka jo dour teray meray darmiyaan

Jo milay mujhay fursat to mohabbat ka qarz utaar doon 

Teray dil ki ronaqein jo murjha gayi hain is tarah 

Laga kay apnay seenay se teri dharkan ko qaraar doon 

Tanhaiyon kay toofan se jo bikhar gayi hain sabhi

Jo kahay to aa kar teri her zulf sanwaar doon 

Na dhan se , na doulat se , na duniya se koi mera waasta

Milay jo tu agar to bas teray sang zindagi guzaar doon 



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...