Dec 12, 2014

tu aur main


Shaam ka manzar , uljha raasta , ek kahani , tu aur main 
Dhalta suraj , barhta saya , kashti rani , tu aur main 

Band ik kamra , chup ka manzar , bhuli bisri deepak yaad 
Tanhai , dukh khouf ki lazat , dilbar'jaani , tu aur main 

Titli , khushboo , rang ki baatain , shabnam se sharmilay khwaab 
Aas ka panchi , gum sum khwaish , raat ki raani , tu aur main 

Palkain , chilman , sharma sharmi , kam kam goya nazrain , qurb
Raaton jaisi seedhi seedhi ik na'daani , tu aur main

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...