Dec 21, 2014

Tu lafzon ki tarah mujh se kitabon main mila kar


Tu lafzon ki tarah mujh se kitabon main mila kar

Logon ka tujhay dar hai tu khwabon main mila kar

Phool ka khushboo se taaluq hai zaroori

Tu mehak ban kar mujh se gulaabon main mila kar

Jissay choo kar main mehsoos kar sakoon

Tu masti ki tarah mujh se sharabon main mila kar

Main bhi insaan hoon , hai dar mujh ko bhi behaknay ka

Es waastay tu mujh se hijaabon main mila kar

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...