Dec 16, 2014

Tu to is basti se khush khush chala gaya , aur main ?


Shaher-e-mohabbat hijar ka mousam , ehad-e-wafa aur main 
Tu to is basti se khush khush chala gaya , aur main ?

Tu jo na ho to jaisay sab ko chup lag jaati hai 
Aapas main kiya baatain kartay raat , diya aur main 

Sehar-e-chaman pehlay aadat thi ab majboori hai 
Teri talaash main chal partay hain , baad-e-saba aur main 

Jis ko dekho teri hawa main apgal phirta hai 
Warna hum mashrab to nahin thay Khalq-e-Khuda aur main

Aik to woh hamraaz mera hai phir tera mad'dah
Bas tera hi zikar kiya kartay hain Zia aur main 

Aik zamanay bad "Faraz" yeh shair kahay main ne 
Ik muddat se milay nahin yaar mera aur main

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...