Dec 16, 2014

Tujhay bana kay samandar aur khud pyaas ban jaaon


Main youn milon tujh se keh tera libaas ho jaaon 
Tujhay bana kay samandar aur khud pyaas ban jaaon 

Aaj pehlu main mujhay toot kay bikhar jaanay do 
Kal ko shayed mumkin nahin keh main tum ko paaon 

Tu ban jaye lehar aur main saahil ban jaaon 
Ho ishq mera saahil to main roz tujh se takra'on 

Main youn milon tujh se keh tera libaas ho jaaon 
Tujhay bana kay samandar aur khud pyaas ban jaaon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...