Dec 31, 2014

Tumhain her waqt woh guzra zamana yaad aaye ga




Tumhain her waqt woh guzra zamana yaad aaye ga 
Na hon gay hum to yeh hansana hansaana yaad aaye ga 

Bahanay jab karay ga koi tum se phir na milnay kay 
Tumhain phir ik ik apna bahana yaad aaye ga 

Kabhi jab tor dalay ga koi waday mohabbat kay 
Tumhain meri mohabbat ka zamana yaad aaye ga 

Galay mil kar hamain rukhsat kiya tha aap ne jis dam 
Tumhain woh hamara aansoo bahana yaad aaye ga 

Manaye ga na jab koi tumhain youn rooth janay par 
To apna roothna mera manana yaad aaye ga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...