Tumhari bheegti palkon se main ne baar haa poocha
Keh dil kay khail main khailnay walay bhi kiya jeetay hain
Woh jin kay chashmay khud main , auron ko dekha nahin kartay
Bhala kis gham kay taar main motti pirotay hain
Tumhari bheegti palkon se main ne baar haa poocha
Keh kiya maanind-e-sheesha pathar main baal aata hai
Asar angaiz hai ab tak mohabbat ka wohi jazba
Jo aisay hosh mandon ko bhi youn pagal banaata hai
Tumhari bheegti palkon se main ne baar haa poocha
Mizaaj-e-husan main youn yak-ba-yak inqalaab aya
Sitaara dekhon aur dekh kar afsurda ho jaana
Bari ta'kheer se tum ko sitaaron ka hisaab aya
Tumhari bheegti palkon se main ne baar haa poocha
Kiya tark-e-rabt par kiya mujh se weh'see yaad aatay hain
Taaluq torna aasaan tha to kiyon yeh aankh nam hai
Tumhari bheegti palkon se main ne baar haa poocha
Kiya jalnay aur jalaanay main bhala kiyon lutf aata hai
Bas ik jhooti ana kay wastay bar''baad ho jaana
Khudi kay gham main insaan kitnay dukh uthaata hai
No comments:
Post a Comment