Wafa kay rooth jaanay par ghazal takhleeq hoti hai
Kabhi sajan manany par ghazal takhleeq hoti hai
Main lafzon kay samandar main mila deta hoon sochon ko
Phir us ki yaad aanay par ghazal takhleeq hoti hai
Meray andar jo panchi qaid hai sansoon kay zindaan main
Usi kay phar'pharaanay par ghazal takhleeq hoti hai
Chaman main raqs karti hai saba jab phool kay aagay
To un kay muskuraanay par ghazal takhleeq hoti hai
Mujhay aata nahin hai shair likhna 1 bhi lakin
Tumhari yaad aanay par ghazal takhleeq hoti hai
No comments:
Post a Comment